Kaash Wo Utray Meray Dil K Kachay Aangan Main
Kisi Udaas Mosam Main, Kisi Veeran Lamhay Main
Chupkay Se Dabay Paon,,
Meri Aankhon Pe rakh De Haath Apnay
Aur Hanstay Huay Kah De...!
Pehchaan Lou Tou HUM Tumharay
Na Pehchaano Tou TUM Hamaray...!


Zara Thehro,, Chalay Jana..!
Mujhay Kuch Tumsay Kehna Hai,,
Zyada Wakt Nahin Loonga,,
Zara Si Baat Karni Hai,,
Na Gham Apnay Sunanay Hain,,
Na Koi Faryaad Karni Hai,,
Na Ye Maloom Karna Hai,,
K Ab Halaat Kaisay Hain,,
Tumharay Humsafar Jo Thay,,
Tumharay Sath Kaisay Hain,,
Na Ye Maloom Karna Hai,,
Teray Din Raat Kaisay Hain,,
Mujhay Bus Itna Kehna Hai,,
Mujhay Tum Yaad Aatay Ho,,
Bohot Hi Yaad Aatay Ho. . . !
Tashkhees Baja Hai Kay Mujhay Ishq Hua Hai,,,
Nuskhay Main Likho Unsay Mulaqaat Musalsal. . .!
Muddat Guzar Chuki Hai, Ye Aalam Hai Mustaqil,,
Koi Sabab Nahin Hai Magar Dil Udaas hai. . .!
"Kuch Tou Hai, Tu Badal Gaya Hai,"
Wo Teri Aankhon Kay Khwaab Saray,
Wo Baatain Sari, Hisaab Saaray,
Sawaal Saray, Jawaab Saray,
Wo Khushiyaan Saari, Azaab Saray,
Nasha Tha jo Wo Utar Gaya Hai
"Kuch Tou Hai, Tu Badal Gaya Hai"
Jo Teray Milnay Ki Aarzu Thi
Jo Tujh Ko Paanay Ki Justuju Thi,
Hui Jo Chahat Abhi Shuru Thi,
Jo Teri Aankhon Main Roshni Thi,
Jo Teri Baaton Main raagni Thi,
Jo Teri Saanson Main Taazgi Thi
Jo Teray Lehjay Main Chaashni Thi,
Wo Saara Meetha pighal Gaya Hai,
"Kuch Tou Hai Tu Badal Gaya Hai. . . !"
Kash..! Kay Kisi Roz Wo Yeh Kah Day "Mohsin"
Aao Kay Tanha Hoon Teri Tarha, teray Liye...!
Nahin Hai Mujhko Tum Say Shikwa Tumhari Aisi Sitamgari Ka
Kay Tumko Dars-e-Wafa Mila Hai Udaas Raehna Udaas Rakhna...!

Kahan Itni Sazain Theen Bhala Iss Zindagani Main..!
Hazaron Ghar Huay Roshan Jab Mera Dil Jala "Mohsin"
Faqat Ik Lafz Muhabbat Ki Hum Nay Bheek Mangi Thi
Taras Gaye Khushi Ko Humain Mili Hai Ye Saza "Mohsin"
Sukoon-e-Zindagi Chorra Ik Teri Zaat Ki Khaatir
Magar Phir Bhi Meri Chahat Se Hai Tumko Gila "Mohsin"
Toota Hua Ye Dil Lay Kar Main Kis Kay Paas Jaunga
Hai Kaun Wo Karay Ga Jo Meray Dil Ki Dawa "Mohsin"
Teri Aankhain, Teri Saansain, Tera Chehra, Teri Dharkan
Main Kaise Bhool Paunga Teri Har Ik Adaa "Mohsin"
Kisi Ko Kia Khabar Mujh Pay Har Pal Kia Guzarti Hai
Meri Saari Kahani Ka Hai Tu Hi Aashna "Mohsin"....!
Tumhain Yaad Hai Jaana...????
Guzishta Saal December Main
Issi Tarha Ka Mosam Tha
Jab Tum Ne Ye Kaha Tha Mujhsay
Chalo Hum Naam Badaltay Hain
Koi Achay Se Farzi Naam
Rakho Tum Apnay Aur Meray
Han Us Waqt Tumhari Baat
Maine Un-Suni Kardi
Magar Jab Se Lagi Thokar
Tou Ab Kuch Naam Zehan Main Aaye
Aaj Iss "December" Main
Wo Farzi Naam Rakhtay Hain
Mera Naam Aaj Se "Tanha"
AUR
Tumhara Naam "Mosam" Hai
Kay Tanha Ana-Parast Thehra
Aur Mosam Be-Wafa Jaana...!