
SirF AiK LarKi….
Apnay Sard Kamray Main
Main Udaas Bethi Hoon
Neem-Wa-Dareechon Say...
Num Hawaein Aati Hain
Merey Jism Ko Chhuu Kar
Aag See Lagati Hain
Tera Naam Ley Ley Kar
Mujhko Gudgudati Hain
Kaash Merey Parr Hotay
Terey Paass Urr Aati
Kaash Main Hawaa Hoti
Tujh Ko Chhuu Kay Laut Aaati
Main Nahi Magar Kuch Bhi…!!
Sung Dil Rawajon Kay
Aahni Hisaron Main
Umarr Qaid Ki Mulzim
Sirf Aik Larki Hoon…!!!
Ye Syaah Raat, Ye Aawargi Ye Neend Ka Bojh,
Main Apnay Sheher Main Hota Tou Ghar Chala Jata....!
SaFar-E-WaFa ki rah main manzil jafa ki thi,
Kagaz ka ghar bna k bhi,
khwahish hawa ki thi,
Thi jugnuon k shehr main taron say dushmani,
Mashooq chaand tha aur tamana subha ki thi,
Tum ne tu ibadat ka tamasha bna diya,
Chahat namaz ki thi per aadat kaza ki thi,
Main ne to zindagi ko teray naam likha tha,
Shayd magr kuch aur hi marzi khuda ki thi,
Dard hi dena tha to pehly bta daitay,
Hum ko bhi azal say hi tamana saza ki thi.
Jab Uska Dard Meray Sath Wafa Karta Hai,
Ik Samandar Meri Aankhon Say Baha Karta Hai,
Uski Baatain Mujhy Khushbu Ki Tarha Lagti Hain,
Phool Jaisay Koi Sehra Main Khila Karta Hai,
...
Meray Dost Ki Pehchaan Yehi Kafi Hai,
Wo Har Shakhs Ko Danista Khafa Karta Hai,
Jab Khizaa'n Aai Tou Lout Aye Ga Khud Hi Faraz,
Wo Baharon Main Zara Kam Hi Mila Karta Hai...
Ehsaas Na Kar In Jazboon Ka, Nazron Se Gira Be-Shak Lekin,
Jeena Bhi Mujhay Dushwar Lagay, Itna Tou Nazar-Andaz Na Kar.
Har Baat K Us Ki Hain Kai So So Matlab
Woh Baat To Karta hai wazahat nhi krta
Main Uss Kay Liye Saray Zamanay Say Lari Hun
Wo Shakhs Jo Khud Se Bhi Bagawat Nahi Krta
Mausam Tha Khush-Gawaar Tumhein Sochtay Rahay
Kal Raat Baar Baar Tumhain Sochtey Rahey
Barish Hui To Ghar K Dareechey Se Lag K Hum
Chup Chaap Sogwaar Tumhein Sochtey Rahey.

Muhabbat Kar To Li Hum Ne,
Mohabbat Paa Nahi Saktay..
Bohat Kehnay Ki Khuwaish Hai,
Magar Bata Nahi Saktay..
Teri Baatainn, Teri Yaadein,
Humara Dil Dukhatay Hai.
Bohat Takleef Hoti Hai,
Tujhe Sunaa Nahi Saktay.
Teray Sath Chalna Hai,
Teri Manzil Bhi Banna Hai.
Bohat Thak Gaye Hain Hum,
Ab Aagay Ja Nahi Saktay.
Suno Hum Toot Jayenge.
Humain Kaisay Sametogay?
Kay Marr K Bi Meri JAAN.
Tujhe Bhula Nahi Saktay....
NikaL He Aati Hai, Kahin Na Kahin Se Gunja’ish..
Koi Bhi Pyaar, Kisi Ka, Aakhri Naheen Hota…!!
Mery Gosha-E-Fiqar Mein Meri Jaan Sy B Aziz Tar..!!
Aisa B Aik Shakhs Tha, Jo Mila Nahi Or Bichar Gaya..!!