Famous Nazm "Kuttay" by Faiz Ahmed Faiz
Ye galiyon k awaara be-kaar kuttay
K baksha gya jin ko zauq-e-gadaai
Zamanay ki phitkaar sarmaya un ka
Jahan bhar ki dhatkaar un ki kamaai
Na araam shab ko, na raahat saweray
Ghalazat mein ghar, naaliyon mein basaairay
Jo bigrain to ik dusray se larra do
Zara aik roti ka tukra dikha do
Ye har aik ki thokar'ain khanay waalay
Ye faaq'on se ukta k marr janay waaly
Ye mazloom makhlooq gar sir uthaye
To insan sab sir kashi bhool jaye
Ye chahain to duniya ko apna bana lain
Ye aaqa'on ki haddiyan tak chaba lain
Koi in ko ehsas-e-zillat dila de
Koi in ki soi hui dum hila de
Urdu Poetry
Bol, k labb aazad hain tery
Bol, zuban ab tak teri hai
Tera sutwa'n jism hai tera
Bol, k jaan ab tak teri hai
Ghulney lagy qufl'on k dahanay
Phaila her ik zanjeer ka daaman
Bol, ye thora wakt boht hai
Jism-o-zuban ki maut se pehlay
Bol, k sach zinda hai ab tak
Bol, jo kuch kehna hai kah lay
Poet : Faiz Ahmed Faiz
Wo log boht khush qismat thy
Jo ishq ko kaam samajhty thy
Ya kaam se aashqi karty thy
Hum jeety ji masroof rahy
Kuch ishq kiya, Kuch kaam kiya
Kaam ishq k aarray ata raha
Aur ishq se kaam ulajhta raha
Phir aakhir tang aa kar hum ne
Dono'n ko adhoora chorr diya
Best Urdu Poetry
Ab kyun us din ka zikr karo
Jab dil tukray ho jaye ga
Aur saray ghum mit jaingy
Jo kuch paaya kho jaaye ga
Jo mil na saka wo paaingy
ye din to wohi pehla din hai
Jo pehla din tha chahat ka
Hum jis ki tamanna karty rahy
Aur jis se har dam darty rahy
Ye din to kitni baar aya
So baar basay aur ujarr gaye
So baar lutay aur bhar paaya
Ab kyun us din ki fikr karo
jab dil tukry ho jaye ga
aur sary ghum mit jaingy
Tum khauf-o-khatar se dar guzro
Jo hona hai so hona hai
Gar hansna hai to hansna hai
Gar rona hai to rona hai
Tum apni karni kar guzro
Jo ho ga dekha jaye ga.!
Poet : Faiz Ahmed Faiz
Urdu Poetry
Hum kia karty kis raah chaltay
Har raah mein kantay bikhry thy
Un rishto'n k jo choot gaye
Un sadiyo'n k yaarano'n k
Jo ik ik kar k toot gaye
Jis raah chaly, jis samt gaye
yun paaon lahu lohaan huay
Sab dekhny waly kehty thy
Ye kesi rait rachai hai
Ye mehndi kyun lagai hai?
Wo kehty thy, kyun qeht-e-wafa
Ka naa-haq charcha karty ho
Paao'n se lahu ko dho daalo
Ye raahain jb att jaingi
So rasty in se phootaingy
Tum dil sambhalo jis mein abhi
So tarha k nashtar tootaingy
Poet : Faiz Ahmed Faiz
Urdu Poetry
Ek Gardan-e-Makhlooq Jo Har Haal Mein Kham Hai
Ek Baazu-e-Qaatil Jo Khoo'n Raiz Bohot Hai
Poet : Faiz Ahmed Faiz
Urdu Poetry
Aaj tanhai kisi humdum-e-dairee'n ki tarha
Karny aai hai meri saaqi giri sham dhalay
Muntazir baithay hain hum dono'n k mehtaaab ubhray
Aur tera aks jhalakny lagy har saaye talay
Poet : Faiz Ahmed Faiz
Urdu Poetry
Har samt pareshan teri aamad k qareeny
Dhokay diye kia kia humain baad-e-sehri ne
Har Manzil-e-Ghurbat pe gumaa'n hota hai ghar ka
Behlaya hai har gaam bht dar-badari ne
Poet : Faiz Ahmed Faiz